rasm-e-duniya to kisi taur nibhate jao
dil nahin milte bhi to hath milate jao
kabhi chaTTan ke sine se kabhi bazu se
bahte pani ki tarah rah banate jao
tegh uThti nahin hai tum se jo zalim ke KHilaf
haq mein mazlum ke aawaz uThate jao
log samjhenge ki hai shaKHs baDa shaista
tum har ek baat pe bas nak chaDhate jao
tum sitaron ke bharose pe na baiThe rahna
apni tadbir se taqdir banate jao
ek na ek roz rifaqat mein badal jaegi
dushmani ko bhi saliqe se nibhate jao
aur kuchh bhi nahin jab ai 'sada' tum se hota
sher likh likh ke zamane ko sunate jao
Ghazal
Rasm-e-duniya to kisi taur nibhate jao
Sada Ambalvi