rashk-e-adu mein dekho jaan tak ganwa hi denge
lo jhuT jaante ho ek din dikha hi denge
aawaz ki tarah se baiThenge aaj ai jaan
dekhen to aap kyun kar hum ko uTha hi denge
uD jaunga jahan se aashiq ka rang ho kar
naqsh-e-qadam nahin hun jis ko miTa hi denge
ghairon ki justuju ki muddat se aarzu hai
ye yaad wo nahin hai jis ko bhula hi denge
shoale nikal rahe hain har ustuKHwan se apni
shamen ye wo nahin hain jis ko bujha hi denge
KHamosh guftugu hain afsurda aarzu hain
wo dil nahin hamara jis ko hansa hi denge
us KHak tak pahunch kar phirna 'nasim' mushkil
hun ashk-uftada kyun kar uTha hi denge
Ghazal
Rashk-e-adu mein dekho jaan tak ganwa hi denge
Naseem Dehlvi