raqs kiya kabhi shor machaya pahli pahli barish mein
main tha mera pagal-pan tha pahli pahli barish mein
paiham dastak par bundon ki aaKHir us ne dhyan diya
khul gaya dhire dhire daricha pahli pahli barish mein
ek akela main hi ghar mein KHauf-zada sa baiTha tha
warna shahr to bhig raha tha pahli pahli barish mein
aane wale sabz dinon ki sab shadabi, us se hai
aankhon ne jo manzar dekha pahli pahli barish mein
sham paDe so jaane wala! dip bujha kar yaadon ke
raat gae tak jag raha tha pahli pahli barish mein
jaane kya kya KHwab bune the, pahle sawan mein, main ne
jaane is par kya kya likkha pahli pahli barish mein
Ghazal
Raqs kiya kabhi shor machaya pahli pahli barish mein
Khalid Moin