raqs-e-ashufta-sari ki koi tadbir sahi
lo mere panw mein ek aur bhi zanjir sahi
imtihan is dil-e-pur-shauq ka karte rahiye
aur is jurm-e-wafa par koi tazir sahi
tan-o-dushnam se diwane na baz aaenge
koi ilzam sahi tohmat-e-taqsir sahi
hum to aawara-e-sahra hain hamein kya matlab
un ki mahfil mein junun ki koi tauqir sahi
har koi yusuf-e-kanan to nahin ban sakta
mera farda hi mere KHwab ki tabir sahi
qafile kitne hi manzil se bhaTak jate hain
hum musafir na sahi hum koi rah-gir sahi
nara-e-zulf-e-sanam shart-e-junun kya mani
dard ruswa hi sahi ishq jahangir sahi
Ghazal
Raqs-e-ashufta-sari ki koi tadbir sahi
Arshi Bhopali