ranjish teri har dam ki gawara na karenge
ab aur hi mashuq se yarana karenge
bandhenge kisi aur hi joDe ka tasawwur
sar dhyan mein us zulf ke mara na karenge
imkan se KHarij hai ki hun tujh se muKHatib
hamnam ko bhi tere pukara na karenge
yak bar kabhi bhule se aa jaen to aa jaen
lekin guzar is ghar mein dobara na karenge
kya KHub kaha tu ne jo kholun abhi aaghosh
milne se mere aap kinara na karenge
go KHak mein mil jaen hum aur waza badal jaen
par tujh se mulaqat KHud-ara na karenge
us nargis-e-'bimar' se rakhte hain shabahat
hargiz su-e-abhar bhi ishaara na karenge
Ghazal
Ranjish teri har dam ki gawara na karenge
Sheikh Bimar Ali Bakhsh