ranj par ranj musibat si musibat dekhi
hijr-e-maula mein ye aaram ki surat dekhi
mahw-e-didar rahe hashr mein aashiq tere
aankh uTha kar na kabhi KHuld ki surat dekhi
le liya wada-e-baKHshish bhi duhai kar ke
shafe-e-hashr ki ummat se mohabbat dekhi
aa gai mujh ko nazar ghayat-e-chashm-e-mushtaq
qabr mein aa ke mohammad ki jo surat dekhi
aazmati hai shab-e-hijr mujhe kya hamdam
main to KHush hun ki judai ki haqiqat dekhi
jalwe ka wada qayamat pe kiya tha mauquf
aap ke hijr mein sau bar qayamat dekhi
KHush-nasibi hai ki main ashraf-e-maKHluq hua
lillahil-hamd gham-e-ishq ki lazzat dekhi
KHar-e-taiba ko gul-e-KHuld se baDh kar samjhe
hum ne in kanTon mein wo bu-e-mohabbat dekhi
daur-e-saghar se to pahle hi na tha hosh mujhe
main ne saqi ki nigahon mein karamat dekhi
parda-e-hashr mein poshida rakha apna jamal
us ne jab talib-e-didar ki kasrat dekhi
duKHtar-e-raz ki nigahon se bachae allah
aap ne 'rasiKH'-e-mai-KHwar ki haalat dekhi

Ghazal
Ranj par ranj musibat si musibat dekhi
Mohammad Yusuf Rasikh