ranj-e-giran-e-shauq ka hasil na kah ise
tark-e-safar kiya hai tu manzil na kah ise
ye zabt zabt-e-gham nahin ek be-dili si hai
ye dil harif-e-dard nahin dil na kah ise
tughyaniyan kuchh aur hain maujon mein ret ki
main Dubta hun ishrat-e-sahil na kah ise
marta nahin hun maut ki be-hasili pe main
jita agar hun ulfat-e-hasil na kah ise
milna safar ka aur bichhaDna safar ka hai
duniya to rahguzar hai mahfil na kah ise

Ghazal
Ranj-e-giran-e-shauq ka hasil na kah ise
Mughni Tabassum