rangon lafzon aawazon se sare rishte TuT gae
sail-e-bala mein dasht-e-KHala ke kitne kinare TuT gae
gunge bahre logon se ab sari umr nibahna hai
jina marna ek barabar kachche dhage TuT gae
dil ke gird hisar khincha to us ka milna muhaal hua
chaaron khunT aawara phire jab panw bhi apne TuT gae
khanDar khanDar sab aawazon se gunj paDenge bolo to
ek sada wo thi jis se mahlon ke kangare TuT gae
shisha-o-sang ke khel ke sae mein rahne wale logo
ek ek kar ke dil mein chubho lo jo jo shishe TuT gae
shor-sharaba KHun-KHaraba jo bhi ho kuchh kam bhi nahin
shahr-panah ke aahani bojhal sab darwaze TuT gae
chup ke bandhan TuTenge to panw mein loha bolega
phir dekhoge sans ke sare rishte-nate TuT gae
Ghazal
Rangon lafzon aawazon se sare rishte TuT gae
Shafqat Tanveer Mirza