rangon ki wahshaton ka tamasha thi baam-e-sham
tari tha har makan pe jalal-e-dawam-e-sham
guldasta-e-jihat tha nairang-e-rah-e-ishq
tha ek tilism-e-husn-e-KHayaban-e-dam-e-sham
aage ki manzilon ki taraf sham ka safar
jaise shabon ke dil mein tha shahr-e-qayam-e-sham
bandhe hue hain waqt sabhi us ke hukm mein
hai jis KHuda ke hath mein kar-e-nizam-e-sham
dhundla gai hai sham shab-e-KHam se 'munir'
KHali hua kashish ki sharabon se jam-e-sham
Ghazal
Rangon ki wahshaton ka tamasha thi baam-e-sham
Muneer Niyazi