rang yahan bahut magar rang se kaam bhi nahin
teri ye bazm-e-ab-o-gil dil ka maqam bhi nahin
bas ki kahin na jag uThen soi hui qayamaten
ye to KHiram-e-hashr hai hashr-KHiram bhi nahin
meri namaz-e-kaif mein sajda kahan rukua kya
saqi-e-mast ki qasam hosh-e-imam bhi nahin
husn tamam guftugu ishq tamam KHamushi
raf-e-shukuk bhi nahin qat-e-kalam bhi nahin
mai se agar gurez hai sajda to KHum ko kijiye
baada haram ho to ho sajda haram bhi nahin
Ghazal
Rang yahan bahut magar rang se kaam bhi nahin
Nushur Wahidi

