rang-e-mahfil se fuzun-tar meri hairani hai
pairahan bais-e-izzat hai na uryani hai
nind aati hai magar jag raha hun sar-e-KHwab
aankh lagti hai to ye umr guzar jaani hai
aur kya hai teri duniya mein siwa-e-man-o-tu
minnat-e-ghair ki zillat hai jahanbani hai
chum lo us ko isi aalam-e-madhoshi mein
aaKHir-e-KHwab wahi be-sar-o-samani hai
apne saman mein tasawir-e-butan hain ye KHutut
kuchh lakiren hain kaf-e-dast hai peshani hai
Ghazal
Rang-e-mahfil se fuzun-tar meri hairani hai
Ali Iftikhar Jafri