اردو हिंदी
Rang bharte ja rahe hain rafta rafta | Shaahi Shayari
rang bharte ja rahe hain rafta rafta

Ghazal

Rang bharte ja rahe hain rafta rafta

Khawar Naqeeb

;

rang bharte ja rahe hain rafta rafta
gul nikharte ja rahe hain rafta rafta

ahd-e-barnai ke ye auraq-e-rangin
kyun bikharte ja rahe hain rafta rafta

siDhiyan shishe ki panw sang ke hain
hum utarte ja rahe hain rafta rafta

ab to hum aKHbar mein chhapne lage hain
nam karte ja rahe hain rafta rafta

rahguzar-e-shauq hai ye zist jis se
hum guzarte ja rahe hain rafta rafta