rang be-rang hon KHushbu ka bharosa jae
meri aankhon se jo duniya tujhe dekha jae
hum ne jis rah ko chhoDa phir use chhoD diya
ab na jaenge udhar chahe zamana jae
main ne muddat se koi KHwab nahin dekha hai
hath rakh de meri aankhon pe ki nind aa jae
main gunahon ka taraf-dar nahin hun phir bhi
raat ko din ki nigahon se na dekha jae
kuchh baDi sochon mein ye sochen bhi shamil hain 'wasim'
kis bahane se koi shahr jalaya jae
Ghazal
Rang be-rang hon KHushbu ka bharosa jae
Waseem Barelvi