ramz-gar bhi gaya ramz-dan bhi gaya
husn ke sath husn-e-bayan bhi gaya
sar se taron bhari sar-zamin bhi gai
panw se KHak ka aasman bhi gaya
phul hi phul the kunj-e-azar mein
tum wahan bhi na the main wahan bhi gaya
pahle miTTi uDi manzilon ki taraf
phir use DhunDne karwan bhi gaya
main akela na tha ku-ruswai mein
sath virana-e-jism-o-jaan bhi gaya
rang pasti ke phir bhi na ifsha hue
yun to patal tak aasman bhi gaya
ishq mein baam-o-dar bhi na pichhe rahe
sath apne makin ke makan bhi gaya
'tabish' apne basere ki jaanib chalo
is se kya tum ko suraj jahan bhi gaya
Ghazal
Ramz-gar bhi gaya ramz-dan bhi gaya
Abbas Tabish