اردو हिंदी
Rakhte hain mere ashk se ye dida-e-tar faiz | Shaahi Shayari
rakhte hain mere ashk se ye dida-e-tar faiz

Ghazal

Rakhte hain mere ashk se ye dida-e-tar faiz

Mah Laqa Chanda

;

rakhte hain mere ashk se ye dida-e-tar faiz
daman mein liya apne hai dariya ne guhar faiz

pur-nur ajab kya hai kare mujh ko karam se
rakhti hai do aalam pe teri ek nazar faiz

ek jam pe baKHshe hai yahan rutba jism ko
kis ki nigah-e-mast se rakhta hai KHumar faiz

mahrum nahin koi tere KHwan-e-karam se
hai hasr KHudai ka hi tujh pe magar faiz

'chanda' rahe partaw se tere ya ali raushan
KHurshid ko hai dar se tere sham-o-sahar faiz