rahte hain is tarah se gham-o-yas aas-pas
main un se dur dur to ye mere pas pas
ye bhi nashe mein kyun na mere sath chur ho
saqi KHuda ke waste rakh de gilas pas
phir chaak-damani ki hamein qadr kyun na ho
jab aur dusra nahin koi libas pas
chakra raha hai kucha-e-gesu mein ja ke dil
manDla rahi hai maut musafir ke aas-pas
'natiq' KHuda ki shan ki apna nahin koi
hone ko yun to sari KHudai hai aas-pas
Ghazal
Rahte hain is tarah se gham-o-yas aas-pas
Natiq Gulavthi