اردو हिंदी
Rahne de ye tanz ke nashtar ahl-e-junun bebak nahin | Shaahi Shayari
rahne de ye tanz ke nashtar ahl-e-junun bebak nahin

Ghazal

Rahne de ye tanz ke nashtar ahl-e-junun bebak nahin

Akhtar Ansari Akbarabadi

;

rahne de ye tanz ke nashtar ahl-e-junun bebak nahin
kaun hai apne hosh mein zalim kis ka gareban chaak nahin

jab tha zamana diwanon ka ab farzane aae hain
jab sahra mein lala-o-gul the ab gulshan mein KHak nahin

fitnon ki arzani se ab ek ek tar aaluda hai
hum dekhen kis kis ke daman ek bhi daman pak nahin

mauj-e-talatum KHair hain hum sahil ke qarib aate hi nahin
waqt ki rau mein bah jaen hum aise KHas-o-KHashak nahin

dard-o-karb se hashr bapa honTon pe tabassum hai 'aKHtar'
dil ka aalam kuchh bhi rahe aankhen to magar namnak nahin