rahi hai parda-e-ulfat mein maslahat kya kya
adawaton mein hui hai mufahamat kya kya
mere aziz watan ki faza ne bhar di hai
meri sarisht ke andar munafiqat kya kya
kabhi usul ki ghairat kabhi ziyan ka sawal
dimagh-o-dil mein rahi hai mushawrat kya kya
sada-e-dil ko tah-e-dil mein qaid kar ke rakha
raha hai tauq-e-gulu shauq-e-afiyat kya kya
mahak thami jo lahu ki to chaunk kar hum ne
hawa se puchhi hai zaKHmon ki KHairiyat kya kya
bahut aziz hain aankhon ki putliyan lekin
mile hain dukh bhi mujhe un ki marifat kya kya
bahut dinon mein kal aaina samne pa kar
hui hai umr-e-guzishta ki taziyat kya kya
aTa hua ba-sar-o-chehra sim-o-zar ka ghubar
mili hai lasha-e-afkar ki diyat kya kya
nihan hai tarkash-e-imkan mein nawak-e-taqdir
mudam sar pe sitare hain an-ginat kya kya
Ghazal
Rahi hai parda-e-ulfat mein maslahat kya kya
Khursheed Rizvi

