rahe raqib se baham wo sim-bar mahzuz
hua na aah ka apne kabhi asar mahzuz
daregh chashm-e-karam se na rakh ki ai zalim
kare hai dil ko mere teri yak nazar mahzuz
na bar bar hawas ho nabaat ki mujh ko
rakhe jo ek hi bosa mein lab-e-shakar mahzuz
tamasha ek KHudai ka hum dikhate hain
to kijiye banda-nawazi hue ho magar mahzuz
yahi dua hai ki 'chanda' ka dil ali wali
tere karam se rahe sham aur sahar mahzuz
Ghazal
Rahe raqib se baham wo sim-bar mahzuz
Mah Laqa Chanda