rahe hai ru-kash-e-nishtar har aabla dil ka
ye hausla hai koi balbe-hausla dil ka
abas nahin hai ye wabasta-e-pareshani
kisi ki zulf ko pahunche hai silsila dil ka
hujum-e-ghamza-o-KHail-e-karishma lashkar-e-naz
ajab sipah se Thahra muqabla dil ka
kahun main kya ki hua kaise be-jagah mail
hai apne baKHt ka shikwa nahin gila dil ka
shab-e-firaq ne chhoDa na sabr-o-tab-e-shakeb
lagi ye aag ki asbab sab jala dil ka

Ghazal
Rahe hai ru-kash-e-nishtar har aabla dil ka
Mamnoon Nizamuddin