rah wafa mein koi sahib-e-junun na mila
dilon mein azm to pae ragon mein KHun na mila
hazar hum se muqaddar ne ki dagha lekin
hamein miTa ke muqaddar ko bhi sukun na mila
gulon ke ruKH pe wahi tazgi ka aalam hai
na jaane un ko gham-e-rozgar kyun na mila
kahan se lae wo ek bul-hawas mazaq-e-salim
jise nazar to mili jazba-e-darun na mila
mili thin tark-e-mohabbat ke baad bhi aankhen
magar wo kaif wo eajaz wo fusun na mila
falak-shigaf tha is darja iztirab-e-amal
ki bandagi mein farishton ko bhi sukun na mila
na jaane kis ke sahaare ruka hua hai falak
hamein to farsh-e-zamin par koi sutun na mila
Ghazal
Rah wafa mein koi sahib-e-junun na mila
Shakeel Badayuni