rah ke parde mein ruKH-e-pur-nur ki baaten na kar
dur se baaten suna kar dur ki baaten na kar
baiTh kar duniya mein zahid hur ki baaten na kar
rah ke itni dur itni dur ki baaten na kar
lan-tarani jalwa-e-jaanan teri achchhi nahin
main koi musa nahin hun tur ki baaten na kar
meri be-hoshi baDhi jati hai is tadbir se
chaaragar tu dida-e-maKHmur ki baaten na kar
apna gham mujh ko parae gham se yaad aane laga
ham-nashin mujh se dil-e-ranjur ki baaten na kar
pas aane ko jo kahta hun to 'muztar' naz se
kahte hain chal dur itni dur ki baaten na kar
Ghazal
Rah ke parde mein ruKH-e-pur-nur ki baaten na kar
Muztar Khairabadi