اردو हिंदी
Rah-e-irfan mein apne hosh ko mail samajhte hain | Shaahi Shayari
rah-e-irfan mein apne hosh ko mail samajhte hain

Ghazal

Rah-e-irfan mein apne hosh ko mail samajhte hain

Hafeez Fatima Barelvi

;

rah-e-irfan mein apne hosh ko mail samajhte hain
hui jab be-KHudi tari use manzil samajhte hain

wufuq-e-shauq ko hai tang aqsa-e-do-alam bhi
faza-e-la-makan parwaz ke qabil samajhte hain

baqa zahir mein zarraat-e-adam ka ek hayula hai
haqiqat mein fana ko zist ka hasil samajhte

zamane ka asar hota nahin hai haal par apne
ki yaksan haalat-e-mazi-o-mustaqbil samajhte hain