rah-e-guman se ajab karwan guzarte hain
meri zamin se kai aasman guzarte hain
jo raat hoti hai kaisi mahakti hain galiyan
jo din nikalta hai kya kya butan guzarte hain
kabhi jo waqt zamane ko deta hai gardish
mere makan se bhi kuchh la-makan guzarte hain
kabhi jo dekhte hain muskura ke aap idhar
dil-o-nigah mein kya kya guman guzarte hain
Ghazal
Rah-e-guman se ajab karwan guzarte hain
Akbar Hameedi