raaz-e-darun-e-astin kashmakash-e-bayan mein tha
aag abhi nafas mein thi shoala abhi zaban mein tha
wo jo kahin tha wo bhi main aur jo nahin tha wo bhi main
aap hi tha zamin par aap hi aasman mein tha
lams-e-sada-e-saz ne zaKHm nihaal kar diye
ye to wahi hunar hai jo dast-e-tabib-e-jaan mein tha
KHwab-e-ziyan hain umr ka KHwab hain hasil-e-hayat
is ka bhi tha yaqin mujhe wo bhi mere guman mein tha
KHanjar o dashna o sinan ye to bahane hain miyan
aap na sharmsar hon zaKHm sirisht-e-jaan mein tha
hadd-e-guman se ek shaKHs dur kahin chala gaya
main bhi wahin chala gaya main bhi guzishtagan mein tha
Ghazal
Raaz-e-darun-e-astin kashmakash-e-bayan mein tha
Ahmad Shahryar