raat raushan na hui kahkashan hote hue
main bhi lau de na saka shola-e-jaan hote hue
kar liya jazb mera dur kinaron ne wajud
mauj-e-dariya na bana ju-e-rawan hote hue
kyun giran-bar hai ehsas pe tanhai ki subh
pas mere tere hone ka guman hote hue
ye bhi mumkin hai ki main jang mein fateh Thahrun
tere qabze mein mere tir o kaman hote hue
jab ki be-rang rahe bagh bahaaron mein 'shahab'
tere jangal mein khile phul KHizan hote hue

Ghazal
Raat raushan na hui kahkashan hote hue
Mustafa Shahab