raat ki KHamoshi ka matha Thanka tha
jaane kis ke hath ka kangan khanka tha
jhil ne apne sine par yun Tank liya
jaise main aawara chand gagan ka tha
us ka lawn bahaaron se aabaad raha
sukh gaya jo peD mere aangan ka tha
tere qurb ki KHush-bu se maghlub hua
dil mein jo aaseb akele-pan ka tha
dil se dar-o-diwar ki KHwahish kyun na gai
sahra ka mahaul to mere man ka tha
ram use kar leta sachcha ishq mera
lekin wo 'zishan' pujari dhan ka tha
Ghazal
Raat ki KHamoshi ka matha Thanka tha
Zeeshan Ilahi