raat hum ne jahan basar ki hai
ye kahani usi shajar ki hai
ye sitare yahan kahan se aae
ye to dahliz mere ghar ki hai
nind kya kijiye ki aaankhon mein
ek nai jang KHair o shar ki hai
mere kachche makan ke andar
aaj taqrib chashm-e-tar ki hai
hijr ki shab guzar hi jaegi
ye udasi to umr bhar ki hai
ishq apni jagah magar hum ne
muntaKHab aur hi Dagar ki hai
uTh raha hai dhuan mere ghar mein
aag diwar se udhar ki hai
hum ne apne wajud ki chadar
tang apne guman par ki hai
wo sitara-shanas aisa tha
ya kisi ne use KHabar ki hai
ja rahe ho kidhar 'rasa' mirza
dekhte ho hawa kidhar ki hai

Ghazal
Raat humne jahan basar ki hai
Rasa Chughtai