اردو हिंदी
Raat damakti hai rah rah kar maddham si | Shaahi Shayari
raat damakti hai rah rah kar maddham si

Ghazal

Raat damakti hai rah rah kar maddham si

Zeb Ghauri

;

raat damakti hai rah rah kar maddham si
khule hue sahra ke hath pe nilam si

apni jagah sahil sa Thahra gham tera
dil ke dariya mein ek halchal paiham si

lambi raat guzar jae tabiron mein
us ka paikar ek kahani mubham si

apni lagawaT ko wo chhupana jaanta hai
aag itni hai aur ThanDak hai shabnam si

mere pas se uTh kar wo us ka jaana
sari kaifiyyat hai guzarte mausam si

shayad ab bhi koi sharar baqi ho 'zeb'
dil ki rakh se aanch aati hai kam kam si