اردو हिंदी
Raste zist ke dushwar nazar aate hain | Shaahi Shayari
raste zist ke dushwar nazar aate hain

Ghazal

Raste zist ke dushwar nazar aate hain

Jauhar Zahiri

;

raste zist ke dushwar nazar aate hain
log ulfat se bhi bezar nazar aate hain

jis ko dekho wo KHaridar hua hai un ka
har taraf misr ke bazar nazar aate hain

bal hai abru pe nazar tez KHuda KHair kare
aaj kuchh hashr ke aasar nazar aate hain

manzil-e-ishq ki rahen hain bahut hi dushwar
har qadam par nae aazar nazar aate hain

kya kahun ek tere jalwe ke muqabil ai dost
chashm-o-dil donon hi bekar nazar aate hain

yaad aa jate hain wo jab bhi hamein ai 'jauhar'
har taraf matla-e-anwar nazar aate hain