rasta bhul gaya ek sitara apna
chand ne band kiya jab se daricha apna
roz aaina dikhati hai zamane bhar ko
zindagi dekh le tu bhi kabhi chehra apna
aks tera kabhi ojhal ho agar manzar se
aaina DhunDhta rah jae ujala apna
sochta hun teri taswir dikha dun us ko
raushni ne kabhi saya nahin dekha apna
ye sulagta hua sahra hai nishani us ki
rasta bhul gaya tha koi dariya apna
Ghazal
Rasta bhul gaya ek sitara apna
Iqbal Ashhar