rahi taraf-e-mulk-e-adam hoi chuka tha
tu aa gaya main warna sanam hoi chuka tha
biThlati nazakat na ise gar dam-e-raftar
pamal ye dil zer-e-qadam hoi chuka tha
sargarm-e-suKHan mujh se jo wo aa ke na hota
ThanDa main tah-e-tegh-e-sitam hoi chuka tha
dekha but-e-nau-KHat ne jo mujh ko to kiya chaak
nama to raqibon ko raqam hoi chuka tha
wo jit gae pansa-e-taqdir se 'tanwir'
pas un ke to ek ek diram hoi chuka tha

Ghazal
Rahi taraf-e-mulk-e-adam hoi chuka tha
Tanvir Dehlvi