اردو हिंदी
Rah-e-ulfat mein mile aise bhi diwane mujhe | Shaahi Shayari
rah-e-ulfat mein mile aise bhi diwane mujhe

Ghazal

Rah-e-ulfat mein mile aise bhi diwane mujhe

Ali Jawwad Zaidi

;

rah-e-ulfat mein mile aise bhi diwane mujhe
jo maal-e-dosti aae the samjhane mujhe

ishq ki halki si pahli aanch hi mein jal bujhe
kya bhala dard-e-wafa denge ye parwane mujhe

ye to kahiye be-KHudi se mil gai kuchh aagahi
warna dhoka de diya tha chashm-e-bina ne mujhe

na-muradi luT hi leti mata-e-arzu
ek sahaara de diya ehsas-e-farda ne mujhe

kis se kahta dil ki baaten kis se sunta un ka raaz
bazm mein to sab nazar aate hain begane mujhe

tauba tauba na-ummidi ki KHayal-araiyan
dekhte hon jaise KHud lalcha ke paimane mujhe

mera ek adna sa partaw hai nizam-e-kaenat
kya samajh rakkha hai is mahdud duniya ne mujhe

jab kabhi dekha hai ai 'zaidi' nigah-e-ghaur se
har haqiqat mein mile hain chand afsane mujhe