rah bhola hun magar ye meri KHami to nahin
main kahin aur se aaya hun maqami to nahin
uncha lahja hai faqat zor-e-dalael ke liye
ai meri jaan ye meri talKH-kalami to nahin
un daraKHton ko dua do ki jo raste mein na the
jaldi aane ka sabab tez-KHirami to nahin
teri masnad pe koi aur nahin aa sakta
ye mera dil hai koi KHali asami to nahin
main hama-waqt mohabbat mein paDa rahta tha
phir kisi dost se puchha ye ghulami to nahin
bartari itni bhi apni na jata ai mere ishq
tu 'nadim'-o-'zaki' o 'kashif'-o-'kaami' to nahin
Ghazal
Rah bhola hun magar ye meri KHami to nahin
Afzal Khan