qurs-e-KHur ko dekh kar taskin rakh ai mehman-e-subh
ta-dahan-e-sham pahunchata hai raaziq nan-e-subh
mani-e-raushan jo hon to sau se behtar ek sher
matla-e-KHurshid kafi hai pae-diwan-e-subh
sair-chashmi did ke bhukon ki dekho kahti hai
mah panir-e-sham hai KHurshid-e-taban nan-e-subh
sadqe us parwardigar-e-pak ke jis ne kiya
bahr-e-tifl-e-ghuncha paida shir-e-be-pistan-e-subh
subh-dam ghaeb hue 'anjum' to sabit ho gaya
KHanda-e-behuda par toDe gae dandan-e-subh
wasl ki shab aankh dikhla kar ye anjum kahte hain
lo qayamat aai mashriq se uTha tufan-e-subh
dekhe wo gulshan jo din-do-din rahe yan misl-e-gul
hum to shabnam-san 'nasim' ek dam ke hain mehman-e-subh
Ghazal
Qurs-e-KHur ko dekh kar taskin rakh ai mehman-e-subh
Pandit Daya Shankar Naseem lakhnavi