اردو हिंदी
Qubul kar ke tera gham KHushi KHushi maine | Shaahi Shayari
qubul kar ke tera gham KHushi KHushi maine

Ghazal

Qubul kar ke tera gham KHushi KHushi maine

Hameed Nag Puri

;

qubul kar ke tera gham KHushi KHushi main ne
tere jamal ko baKHshi hai zindagi main ne

bas ek nigah-e-tawajjoh pe is tarah KHush hun
ki jaise daulat-e-kaunain luT li main ne

dhaDak raha tha mere har-nafas mein dil un ka
suni qarib se aawaz dur ki main ne

zamana ta-ba-abad un ko bhar nahin sakta
jigar pe khae hain wo zaKHm-e-dosti main ne

tere jamal ki sar-mastiyon mein gum ho kar
har ek saat-e-hasti guzar di main ne

KHuda-e-do-jahan is jurm ko muaf kare
uDai hai lab-e-gul-rang ki hansi main ne

'hamid' mujh ko zamana bhula nahin sakta
bana liya hai mohabbat ko zindagi main ne