qarib tha ki hararat se jal uTha hota 
diya hatheli pe kuchh waqt agar ruka hota 
banaya jata agar Tahniyon se pinjre ko 
qafas mein kuchh to parindon ko aasra hota 
tumhaare juDe mein hai is liye salamat hai 
ye phul shaKH pe pazhmurda ho gaya hota 
KHuda ka shukr ki nisbat qalam se hai warna 
hamare hath bhi barud lag chuka hota 
bilakta bachcha kahan bap se sambhalta hai 
jo hoti man to use chup kara liya hota 
tujhe lagi hi nahin ishq ki hawa 'tasir' 
wagarna tujh mein koi aur bolta hota
        Ghazal
Qarib tha ki hararat se jal uTha hota
Mahmood Taseer

