qarib bhi to nahin ho ki aa ke so jao
sitaron jao kahin aur ja ke so jao
thakan zaruri nahin raat bhi zaruri nahin
koi hasin bahana bana ke so jao
kahaniyan thi wo raaten kahaniyan the wo log
charagh gul karo aur bujh-bujha ke so jao
tariq-e-kar badalne se kuchh naya hoga
jo dur hai use nazdik la ke so jao
KHasare jitne hue hain wo jagne se hue
so har taraf se sada hai ke ja ke so jao
ye kar-e-sher bhi ek kar-e-KHair jaisa hai
ke taq taq jalo lau baDha ke so jao
udas rahne ki aadat bahut buri hai tumhein
latife yaad karo hans-hansa ke so jao

Ghazal
Qarib bhi to nahin ho ki aa ke so jao
Rauf Raza