qarib aa ke bhi ek shaKHs ho saka na mera 
yahi hai meri haqiqat yahi fasana mera 
ye aur baat ki mujh ko na mil saka ab tak 
tere jahan mein kahin hai sahi Thikana mera 
charagh kahne laga phir hawa ke jhonke se 
ye ehtimam to ai dost hai tera na mera 
so ab tu bazm-e-tamanna mein tairana chahak! 
tere dimagh pe halka sa bojh tha na mira? 
abhi to gunj rahe hain badan mein shoale se 
abhi to KHam hai andaz-e-ashiqana mera 
kahan majal ki marzi se phaDphaDa bhi sukun 
qafas-misal hai 'aslam' ye aashiyana mera
        Ghazal
Qarib aa ke bhi ek shaKHs ho saka na mera
Aslam Kolsarii

