qarar pate hain aaKHir hum apni apni jagah
ziyaada rah nahin sakta koi kisi ki jagah
banani paDti hai har shaKHs ko jagah apni
mile agarche ba-zahir bani-banai jagah
hain apni apni jagah mutmain jahan sab log
tasawwuraat mein mere hai ek aisi jagah
gila bhi tujh se bahut hai magar mohabbat bhi
wo baat apni jagah hai ye baat apni jagah
kiye hue hai faramosh tu jise 'basir'
wahi hai asl mein tera maqam teri jagah
Ghazal
Qarar pate hain aaKHir hum apni apni jagah
Basir Sultan Kazmi