qalb-o-jigar ke dagh farozan kiye hue
hain hum bhi ehtimam-e-bahaaran kiye hue
diwana-e-khirad ho ki majnun-e-ishq ho
rahna hai us ko chaak-gareban kiye hue
parde mein shab ke hum ne chhupae hain dil ke zaKHm
ek tirgi hai dard ka darman kiye hue
dil ka ajib haal hai be-iKHtiyar hai
yaadon ki mezbani ka saman kiye hue
raaz-e-hayat kis ko bataen ki har koi
hai zindagi ko maut ka unwan kiye hue
bhaTka raha hai dil ko kisi shaKHs ka KHayal
dil ko usi ki yaad pareshan kiye hue
kya ho raha hai dil pe asar un ka kya kahen
jalwe jo hain nigah ko hairan kiye hue
Ghazal
Qalb-o-jigar ke dagh farozan kiye hue
Razi Raziuddin