qalb ko barf-ashna na karo
gul kisi taur ye diya na karo
zindagi bhi hai ek marg-e-dawam
tum jo jine ka haq ada na karo
jis mein phulon pe panw dharna paDe
iKHtiyar aisa rasta na karo
zahr pi jao bankpan ke sath
zahr chakhne ka tajraba na karo
gur sikhae jo jang-bazi ke
aisi danish ko rahnuma na karo
zulm to zalimon ka shewa hai
qahr hai tum jo tajziya na karo
sab KHizan zade kah rahe hain 'hazin'
yan pe zikr-e-gul-o-saba na karo
Ghazal
Qalb ko barf-ashna na karo
Hazin Ludhianvi