qalb-e-warafta mohabbat mein kahin aisa na ho
jis ko tu apna samajhta hai wahi begana ho
har sitam par muskurana meri fitrat hai magar
dekhiye is zabt ka anjam kya ho kya na ho
main ne mana aap ne sab kuchh bhula Dala magar
ghair-mumkin hai kabhi mera KHayal aata na ho
husn ko ye gham ki jalwe ho rahe hain be-naqab
ishq ko ye fikr namus-e-nazar ruswa na ho
shauq se tu bhul ja ai bhulne wale magar
is taghaful mein koi pahlu tawajjoh ka na ho
gir gaya un ki nigahon se dil-e-KHana-KHarab
meri nazron se bhi gir jae kahin aisa na ho
bahar-e-takmil-e-nazara ye bhi lazim hai 'nasim'
mere un ke darmiyan hail koi parda na ho
Ghazal
Qalb-e-warafta mohabbat mein kahin aisa na ho
Naseem Shahjahanpuri