qaid-KHane ki hawa mein shor hai aalam ka
bhed khulta kyun nahin ai dil tere aaram ka
faKHtaen bolti hain bajron ke des mein
tu bhi sun le aasman ye git mere nam ka
ThanDe pani ke gagan mein satwin ka chand hai
ya gira hai barf mein kingra tumhaare baam ka
kukta phirta hai koi dhup ki galiyon mein shaKHs
sun liya hai us ne shayad haal meri sham ka
Ghazal
Qaid-KHane ki hawa mein shor hai aalam ka
Ali Akbar Natiq