qafas se chhuTne ki kab hawas hai
tasawwur bhi chaman ka hum ko bas hai
bajae raKHna-e-diwar-e-gulshan
hamein sayyaad ab chaak-e-qafas hai
fughan karta hi rahta hai ye din raat
ilahi dil hai mera ya jaras hai
kaTenge umr ke din kab ke be-yar
mujhe ek ek ghaDi sau sau baras hai
hamari dad ke tain kaun pahunche
na kui munis na kui fariyaad-ras hai
gali mein yar ki ho jaiye KHak
mere dil mein ye muddat se hawas hai
safar duniya se karna kya hai 'taban'
adam hasti se rah-e-yak-nafas hai
Ghazal
Qafas se chhuTne ki kab hawas hai
Taban Abdul Hai