qadam qadam par tumhaari yun to inayaten bhi bahut hui hain
mujhe meri be-niyaziyon par nadamaten bhi bahut hui hain
ye mat samajhna ki aansuon hi se bhig jati hain us ki palken
ki barha chashm-e-nam se us ki karamaten bhi bahut hui hain
ajab tamasha hai zulm sah kar bhi sare mazlum mutmain hain
unhin ki jaanib se qatilon ki zamanaten bhi bahut hui hain
mohabbaton mein KHamoshiyan hi jawab hoti hain mo'tariz ka
agarche kuchh be-irada mujh se wazahaten bhi bahut hui hain
hui hai izhaar-e-arzu mein KHata-e-taKHir is liye bhi
rah-e-tamanna ujalne mein tawalten bhi bahut hui hain
'shahab' sahil se bandh rakkho abhi purani wo naw apni
ki jas pe tufani naddiyon mein masafaten bhi bahut hui hain

Ghazal
Qadam qadam par tumhaari yun to inayaten bhi bahut hui hain
Mustafa Shahab