qad se kuchh mawara charagh jale
palken uThen wo ya charagh jale
tirgi KHatm ho nahin rahi dost
dusra tisra charagh jale
jal uTha hun main hai andhera kahan
kah raha tha baDa charagh jale
yun bujha hai ki dil ye chahta hai
aur ek martaba charagh jale
ghup andhere mein aankhen raushan hain
ab yahan aur kya charagh jale
sab ne baiat andheron se kar li
aur main kahta raha charagh jale
wasl ho to charaghan bhi kar len
hijr ki raat kya charagh jale
mera aur us ka waqia yun hai
jab hua samna charagh jale
aaina rakh ke samne dekha
aaine mein siwa charagh jale
zau purane diyon ki kam nahin par
ek zara sa naya charagh jale
baat lekin meri suni na gai
main ne chaha bhi tha charagh jale
mujh ko jalta makan dikhai diya
main ne ki thi dua charagh jale
aise jalta hai aaj dil mera
jis tarah 'mir' ka charagh jale
ruKH hawa ne badal liya apna
faisla ho gaya charagh jale
mujh ko jalne mein aar kab hai magar
yun jala jis tarah charagh jale
apne hisse ka jal-bujha 'zishan'
ab koi dusra charagh jale
Ghazal
Qad se kuchh mawara charagh jale
Zeeshan Ilahi