qasid us ka payam kuchh bhi hai
kah dua ya salam kuchh bhi hai
suKHan-e-mehr-KHwah harf-e-itab
us ke munh ka kalam kuchh bhi hai
saf ya durd-e-baada-e-gul-gun
saqi-e-lala-fam kuchh bhi hai
kya gham-e-hijr kya surur-e-visal
guzaran hai dawam kuchh bhi hai
us ruKH o zulf se ki dun tashbih
KHubi-e-subh-o-sham kuchh bhi hai
yaad mein apne yar ke rahna
behtar aur us se kaam kuchh bhi hai
tu jo 'bedar' yun phire hai KHarab
pas-e-namus-o-nam kuchh bhi hai
Ghazal
Qasid us ka payam kuchh bhi hai
Meer Mohammadi Bedar