اردو हिंदी
Qasid to liye jata hai paigham hamara | Shaahi Shayari
qasid to liye jata hai paigham hamara

Ghazal

Qasid to liye jata hai paigham hamara

Asif-ud-Daula

;

qasid to liye jata hai paigham hamara
par Darte hue le jo wahan nam hamara

kya tab hai jo samne Thahre koi us ke
aafat hai ghazab hai wo dil-aram hamara

aaghaz ne to ishq ke ye haal dikhaya
ab dekhiye kya howega anjam hamara

ai charKH isi tarah tu gardish mein rahega
par tujh se na niklega kabhu kaam hamara

ai pir-e-mughan dekhiyo 'asif' ye kahe hai
KHali na rahe mai se sada jam hamara