qasid nai ada se ada-e-payam ho
matlab ye hai ki baat na ho aur kalam ho
baqi hai shauq rah mein kyunkar qayam ho
hath aaen un ke panw to manzil tamam ho
kya KHush ho dil ki hai wo jafa-ju zamin se dur
tum kaise aasman ke qaem-maqam ho
farman-rawa-e-husn ko hota nahin farogh
jab tak na ishq us ka mudar-ul-maham ho
'ahsan' wo sun ke shikwa-e-tashhir kah gae
hum jaante hain tum ko baDe nek-nam ho
Ghazal
Qasid nai ada se ada-e-payam ho
Ahsan Marahravi